murid kaun hai? part-1 (Mureed meaning in hindi)
hazrat muhammad saw. ko jo dekh kar imaan laye use ”sahabi” kahte hain. sahabi ke mayne hote hain ”sarfe sahabiyat” yani sohbat haasil karna. huzur ki sohbat jo uthae vo sahabi.
aala tarin nisbat ke etbaar se sahabi apne aap me akela hai jisne hazrat muhammad saw. ki sohbat uthai. tawawwuf me sufiyaa ne isi iradat ko ”mureedi” naam diyaa hai (mureed meaning in hindi). muridi kaa mafhum (saar) bhi yahi hai ki jis murshid kaamil se lagaav ho jaae aur dil uski taraf maayel ho jaye to uski khidmat me sacche dil se niyaazmandi ke saath farmabardar ho jaye. isi se akhirat bhi sanvar jaegi aur ye hukme khuda bhi hai-
aye imanvalon khuda se daro aur sacchon ke saath ho jao
is ayat men teen batein kahi gayi hain ek imaan-billaah, dusraa takvaa-allaah aur tisra sohbat-auliyallah.
takvaa ki jaame taarif men sufiyon ne kaha ki- ”khuda tujhe us jagah n dekhe jahaan jaane se tujhe rokaa hai aur us jagah se kabhi gaair haazir n paye jahan jaane ka hukm diya hai.”
yahan sabse zyada gaur karne vaali baat ye hai ki allah imanvalon se baat kar raha hai. ye nahin farma raha ki sacchon ke sath ho jao aur iman laa lo balki ye farma raha hai ki imaanwalon ke liye bhi Allah se darna aur sufiyon ki sohbat zaruri hai.Haji imdadullah mahajir makki r.a. farmate hain ki Hazrat muhammad saw. farmate hain
اَلشَّیْخُ فِیْ قَوْمِہٖ کَالنَّبِیْ فِیْ اُمَّتِہٖshaikh apne halke muridain me is tarah hota hai jis tarah nabi apni ummmt me. (tasfiya-tul-kulub:4)
hazrat makki farmate hain ki buzurgane din ne farmaya – “jo allah ke sath baithna chahe use kahe ahle tasawwuf ki majlis v sohbat akhtiyar kare. jis tarah vahan nabi ki sohbat zaruri hai yahan bhi is ke liye sheikh ka hona zaruri hai. agar sheikh kamil ki nazar me ho aur har amal farman ke mutabik kare aur apne tamam ikhtiyar w iradon ko sheikh ke sate ikhtiyar me de de to bahut jald manzile maqsud w qabuliyta hasil hogi. (qutul qulub) mureed meaning in hindi
Haq hai
Haq Murshid Rab Murshid Sab Murshid